Random Musings

Thursday, January 20, 2005

Adhyatam aur Sanskriti Jaago aur Pehchano

Bharatiya Sanskriti thi Vishwa Sanskriti
Rishiyon ne pehchana jeevan ke sahi arth ko...
Avishkar kiya unhone dharma ka
Disha dene har manushya ke karma ko

Phir gaye bhul hum us marma ko
Dharma ko ghera pakhandiyon ke kukarma ne
Puja paath bas reh gaya ek bhram hi
Log bhool gaye keemat shram ki

Ab humein pehchanana hai us bhoole itahas ko
Apni sanskriti ko bachana hai aur parihaas se
Aayo hum sanware jeevan ke devata ko
Pehchankar adhyatam ke sahi swaroop ko

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]



<< Home